Tum to Gaironki baat karate ho,
Humne apne bhi aajmaye hai,
Log kaantonse bach nikalte hai,
humne phoolonse jakhm khaye hai.
KOI CHAHTA HAI KI HUM HAMESHA HASTE RAHE,
BAHUT SAARE YAAR HUMEIN RULA KAR RAAZI HAI.
3-4 GINTI KE LOG HAI JINHONE HUMEIN GALE SE LAGAYA,
BAAKI SAB MITTI MEIN MILA KAR RAAZI HAI.
Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,
Us raah se kisi ko gujar ne na diya
Utre jo zindagi teri gehraiyo mein hum,
Mehfil meh rahkar bhi rahe tanhaiyo mein hum,
Deewangi nahi to aur kya kahe,
Insaan dhoondhte rahe parchayio mein hum !
pyar k naam par bewafai ka saath paaya,
hamare isq ko daulat k taraju me tol diya...
do asqk apni majboori par gira kar,
bahut khubi se apni bewafai ko aansuo ka naam de diya....
Khud se to pyar hum ne kabhi kiya hi nahin tha
Aap ke siwa kisi ko ye haq diya hi nahin tha
Mushkilon main aaj aap ne rishta hi tor diya
Roshni ka khawab dikha kar andhere main chor diya
Mousam ko mousam ki baharon ne loota.
Kashti ko sahil kay kinaroon ne loota,
Tum to dar gaye ek hi kasam say,
Humain to tumhari kasam day kar hazaron ne loota.
Na mila dil ka qadardan is zamany may,
Yeh rishta toot gaya dekhne or dikhane may,
Sochtay hain ek roz SHAMA say pochain,
Maza kis may hai ... jalnay may ya jalanay may?